Ghazal sms
Suna hy,
Janglon ka bhi koi Dastor hota hy.
Suna hy,
Sher ka jab pait bhar jaye tu wo Hamla nhi karta.
Suna hy,
Hawa k taiz jhonkon mei,
MEENA Apne Ghar ko bhool k
Kawwe k andon ko pairon mei tham leti hy.
Suna hy,
Ghonslay se jab koi bacha gire tu sara jungle jaag jata hy.
Suna hy,
Selaab aa jaye tu Lakri k takhte par Sanp,Cheeta or bakri sath hote hain.
Munsifo,
Mere Mulk mei bhi ab Janglon ka he
Koi Dastoor le ao...!
(Anwar Maqsood)